Stories That Matters

Every Thought Matters

Maayka

Is ghar pe pali, Is ghar mein hui badi,
Is ghar mein sanjoyi maine yaadein,

Baba ke pyaar, maa ke dular ne,
Seencha mera bachpan,

Pakad ke meri ungli,
Mujhe chalna seekhaya,

Apne pairon pe khud,
Khada hona sikhaya,

Har faisle mein mere,
Hamesha diya mera saath,

Chahe jo bhi ho,
Hamesha rahe saath mere khade,

Kanyadaan karke karte hain uski bidai,
Maa baap ke liye beti kabhi
Hoti nahi paraayi,

Rehti sada unke dilon mein,
Banke unki pyaari nanhi si pari,

Jo unke liye hamesha ,
unka maan hai hoti,

Ek Maa ke dil ka tukda,
Aur papa ki Rani hain hoti,

Is jahaan mein jagah nahi koi aisi,
Jo le jagah Ek “Maayke ki”





.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *