Lekhak
Ek Lekhak
Jo soch ko utaarte kalpna mein,
Jo kalpanao ko peerote shabdon mein,
Jo shabdon ko likhte panno mein,
Jo panno se banaate rachnaayein,
Jo rachnaon se banaate pustakein,
Aur pustakon se pahunchte logon tak,
Kabhi ek prerna, kabhi ek seekh, kabhi ek haasya lekhan, to kabhi ek kavita ke roop mein,
Karte samaj mein ek nayi soch ka aagaz,
Aur bas jaate dil mein banke ek anokha ehsaas.
_