Sister’s Relationship- A Poem Dedicated To All The Sisters
Behen woh jo bachpan ki yaadein sanjoye,
Behen woh jo zindagi ke har pal har mod par saath de,
Behen woh jo hamesha mushkilon ka datkar samna karna sikhaaye,
Behen woh sang jiske hum saari baate share kare,
Behen woh jo sukh dukh ki saathi bane,
Behen woh jo apni choti behen ke
saare naaz nakhre uthaaye,
Behen woh jo Hamesha har musibat ka sahi hal de,
Behen woh jo hamesha ek dhaal ki
tarah khadi rahe,
Behen woh jo kabhi ek maa, kabhi ek
behen, kabhi ek dost banke saath nibhaye,
Behen woh jo hamesha apni choti behen ko sahi raah dikhaaye,
Behen woh jo hamesha zindagi jeene ki seekh de,
Behen woh jo hamesha apni choti behen ki galtiyon ko Nazar andaaz kare,
Behen woh jo hamesha apne chote bhai behen ke liye ek misaal bane
Behen woh bin jiske zindagi Adhoori si lage,
Behen woh jiski daant mein bhi pyaar
chupa ho,
Behen woh jo sahi galat ki pehchaan karna sikhaaye,
Behen woh jiske hone se zindagi mein kisi cheez ki koi kami na lage,
Behen woh jo zindagi mein kabhi haar
na manna sikhaaye,
Behen woh jiski duniya apni choti behen mein samaayi ho,
Behen woh jo apne chote bhai behen
ko hamesha ekjut hokar rehna sikhaaye,
Behen woh jo apni choti behen ko zindagi mein rishton ki ahamiyat sikhaaye,
Behen woh sang jiske zindagi ka safar bhi kat jaaye,
Behen woh jo har choti badi khushi mein yaad aaye,
Behen woh jo birthday par sabse pehle wish kare,
In sab se badhkar ek badi behen woh jo hamesha apni choti behen ko apne pyaar ke aanchal se baandh Kar rakhe…